Gulabi Aankhen (Sanam Puri) – Song Lyrics

Gulabi Aankhen (Sanam Puri) – Song Lyrics

 • O…Gulabi aankhen jo teri dekhi
  Sharabi ye dil ho gaya
  Sambhalo mujhko o mere yaaron
  Sambhalna mushqil ho gayaGulabi aankhen jo teri dekhi
  Sharabi ye dil ho gaya

  Dil mein mere khwaab tere
  Tasveer jaise ho deewar pe
  Tujhpe fidaa main kyun hua
  Aata hai gussa mujhe pyar pe

  Main lut gaya
  Maan ke dil ka kaha
  Main kahin ka na raha
  Kya kahu main dilruba

  Bura ye jaadu
  Teri aankhon ka
  Ye mera qaatil ho gaya

  Gulabi aankhen jo teri dekhi
  Sharabi ye dil ho gaya

  Maine sada chaha yahi
  Daaman bacha lu haseeno se main
  Teri kasam khwabon mein bhi
  Bachta firaa naazneeno se main

  Tauba magar
  Mill gayi tujhse nazar
  Mill gaya dard-e-jigar
  Sun zara oh bekhabar

  Zara sa hans ke jo dekha tune
  Main tera bismil ho gaya

  Gulabi aankhen jo teri dekhi
  Sharabi ye dil ho gaya
  Sambhalo mujhko o mere yaaron
  Sambhalna mushqil ho gaya

  O…

You May Also Like